Press ← and → on your keyboard to move between
letters
Dear aatma,
Alif ko allah mila,
Bay ko mili jhuti badshaahi.
Aayi taar alif ko,
Hua rail ka raahi.
Om Shanti future aatma.
Jis pal se sarvashaktivaan parmatma par poorna vishwas hua, uss pal se vairagi ho jao.
Mujh aatma ka swadharma hai pavitrata. Mujh aatma ka swadharma hai shanti.
Pavitrata ki khushbu baba tak pohoche. Vatan tak pohoche.
Sampoorna pavitrata.
Pavitrata hi mahaanta hai.
Yeh mera lakshya hai. Aur mere lakshan bhi.
Iss bhatti July 2025, anokha anubhav hua. Ishwariya shakti, ishwariya khichaav, ishwariya signal ka anubhav hua. Jaise baba karwa raha ho aur mera sampoorna samarpan.
Ati-indriya sukh ka anubhav hua. Itna sukh aur khushi, ki chehre pe dikhai de, chalan se seva hui. Farishta jaise light, baba jaise might aatma bann gayi.
Isi anubhav pe aur gehra anubhav karna hai. Shrimat ka paalan karte raho aatman.
Pavitrata ka drid sankalp lekar iss sharir ke laukik ghar jaungi.
Ab asli ghar jaana hai.
Om Shanti.
Sign in to FutureMe
or use your email address
Create an account
or use your email address
FutureMe uses cookies, read how
Share this FutureMe letter
Copy the link to your clipboard:
Or share directly via social media:
Why is this inappropriate?